Delhi ration card alt
Delhi me ration card apply kaise kare
Dosto aaj mai aap logo ko batana chata hu ki agar aap delhi me rahte hai to aap ration card kaise banay.delhi  sarkar ne gareeb logo ke liye ration card banvana bahut aasan kar diya hai.iski sahayta se aap kafi saste me anaj le sakte hai .ration card garebo ke liye aik mahatv purn dastavez hai .
Apply ration card online
Online ration card ka aavedan karne ke liye aap ko sabse pahle delhi sarkar ki khadya  aapurti aor upbhokta vibhag ki website par jana hoga .jo ye hai .  http://nfs.delhi.gov.in/

Iske bad aapko  e ration card ke link par click karna hoga.

Ab aik naya page open hoga.
Sabse pahle aap mukhiya ka vivran bhar de
 .
uske bad aap ko aik link pradan kiya jay ga.anya sadasyo  jorne  ke liye ab  aap dusre sadasyo ko  jore .

dusre  sadasyo ko jorne ke bad aap finish member entry par click karna hoga.

Iske bad aap sabhi  jankaryo ko sahi –sahi bhar de .aor sabmit ke batan par click kar degiye.

Aap ka ration card ka aavedan ho gaya hai
Aavedan ke liye Zaruri dastavez
1-mukhiya ki 2 pasport size photo
2-incom praman patr
3-sabhi sadasyo ka aadhar card ki photo copy
4-mukhiya ka aayu praman patr
5-aavedako ka nivas praman patr

Iske alava aap sari jankari delhi ki ration card website par ja kar prapt kar sakte hai .is par aap ko sabhi jankari  vistar se mil jay gi .jo ye hai .
Agar ration card se sambandhit koi jankari aap chahte  hai to comment box me likhe .mai us ka jawab dene ki koshish karu ga .aap ka bahut bahut dhanyavad