Up ration card alt
Utter Pradesh ration card me nam kaise jore
Dosto aaj mai aap ko batuga ki aap utter Pradesh me ration card me apne parivar ke sadasya ka nam bahut hi saralta se jor sakte hai.aaj ration card ka upyog bahut si jagah kiya jata hai .is liye aap ke parivar ke pratyek sadasya ka nam ration card me hona aavshyak ho gaya hai .kuch jagah nimn  likhit hai .jaise bank me ,cort me, passport banvane me ,iske alava bahut se sarkari aor gair sarkari office me ration card  ki zarurat parti hai. Aap online aor offline avedan kar sakte hai.aap  shadi ke bad apnni patni ka nam aor aap apne navjat shisu ka nam ration card me jor sakte hai

Ration card ke prakar

1-A.A.Y card –aarthik rup se kamzor vargo ka ye ration card banta hai.

2-A.P.L card –garebi rekha se uper vale vargo ko ye ration card banta hai .

3-B.P.L card- ye card un logo ke bante hai jo garebi rekha ke niche jevan yapan karte hai.

Up me online ration card me nam jore

Online ration card me nam jorne ke liye aap ko pahle ration card ki official website par jana hoga.

 Aor log in karna pare ga.uske bad aap ko parivar ka sadasya jore par click karna hoga.

jiska nam aap ration card me jurvana chahte hai uske bare me puri jankari aap is form me bhar de.

aor sabi zaruri dastavezo ko uplod kar de .

aor aavedan sabmit kar digiye .

aap aik mah ke bad online check kar sakte hai . aap ke parivar ke sadasya ka nam ration card me jur chukka hoga.

Up me offline ration card me nam jore

Offline ration card me nam jurvane ke liye aap ko nazdeek ke ration card office jana hoga.

aor parivar ke sadasya ka nam jurvane ka aavedan karna parega.aavedan me sabhi jankariya sahi sahi bhar de .

aor zaruri dastavezo ko bhi aavedan ke sath sallagn kar ke ration card officer ke pas jama kar digiye .

aap ka ration card me parivar ke sadasya ka nam jur jay ga . aap aik mah bad online check kar sakte hai

Navjat shisu ke liye zaruri dastavez

1-shisu ka janam praman patr ki photo copy
2-abhibhavak ka aadhr card ki photo copy
3-main ration card ki photo copy

Patni ka nam jorne ke liye zaruri dastavez

1-shadi ka praman patr ki photo copy
2-patni ka aadhar card ki photo copy
3-main ration card ki photo copy

Aap ko ye lekh kaisa laga .please comment box me zarur comment kare. Agar ration card se sambandhit kai jankari aap chahte hai to hame comment kare.aap ka dhanyavad