Online Ration Card List Check 2020
Namaskar dosto aap kaise hai .aaj mai aap ko batuga ki aap online Ration Card list 2020 kaise check kare ge .iske liye aap  jis rajya me rahte hai .us rajya ki khadya aor rasad aapurti vibhag ki website par jana hai .udaharan ke liye mai aaj uttar Pradesh ki ration card list 2020 ko check karta hu .iske liye sabse pahly aap ko is website ko open kar le.fcs.up.gov.in

Uske bad aap ko  n.f.s.a ki patrta suchi par click karna hoga.

Aap ko uttar Pradesh ke sabhi zilo ki list dikhai pare gi .aap ko usme se apna zila chunna pare ga .aor apne zile par click karna hoga.

Ab aap ko apne town ya tahseel ko chunna hoga .aor us par click karna hoga.
Ab aap ko apne town ke ration card dukan daro ki list dikhai degi .aap ko apne dukan dar ka nam check karna hoga .aor us par click karna hoga.

Ab aap ke samne aik nai list open hogi .is list me se aap ko apne ration card ke mukhiya ka nam check karna hoga .aor us par click karna hoga.

Ab aap ke samne aap ke ration card  ki sari jankari open ho jay gi . ab aap apna aor apne parivar ka nam list me dekh sakte hai .aor yaha se aap apna ration card download bhi kar sakte hai

Aap agar ration card se sambandhit koi aor jankari chahte hai to please comment box me comment kare
                                                                                                             dhanyavad