Online Ration Card List
Check 2020
Namaskar
dosto aap kaise hai .aaj mai aap ko batuga ki aap online Ration Card list 2020
kaise check kare ge .iske liye aap jis
rajya me rahte hai .us rajya ki khadya aor rasad aapurti vibhag ki website par
jana hai .udaharan ke liye mai aaj uttar Pradesh ki ration card list 2020 ko
check karta hu .iske liye sabse pahly aap ko is website ko open kar le.fcs.up.gov.in
Aap ko uttar
Pradesh ke sabhi zilo ki list dikhai pare gi .aap ko usme se apna zila chunna
pare ga .aor apne zile par click karna hoga.
Ab aap ko
apne town ke ration card dukan daro ki list dikhai degi .aap ko apne dukan dar
ka nam check karna hoga .aor us par click karna hoga.
Ab aap ke
samne aik nai list open hogi .is list me se aap ko apne ration card ke mukhiya
ka nam check karna hoga .aor us par click karna hoga.
Ab aap ke
samne aap ke ration card ki sari jankari
open ho jay gi . ab aap apna aor apne parivar ka nam list me dekh sakte hai
.aor yaha se aap apna ration card download bhi kar sakte hai
Aap agar
ration card se sambandhit koi aor jankari chahte hai to please comment box me
comment kare
dhanyavad
0 Comments