ration card alt
Ration Card Kaise Banvay
Namaskar Dosto Aaj Mai Aap Ko Batuga Ki Ration Card Aap Kaise Banwa Sakte Hai. Aap Bhi Kabhi –Kabhi Sochte Hoge Ki Ration Card Kaise Banta Hai .Aor Kaon Ise Banata Hai .Aor Iske Banana Ki Kya Prakriya Hai .To Aaj  Mai Aap Ko Inhi Savalo Ka Javab Batau Ga.Sabse Pahly Aap Ko Ration Card Ke Prakar  Batate Hai.

Ration Card Ke Prakar

Ration Card Mukhyata Teen Prakar Ka Hota Hai .Isme Sabse Pahly BPL Card Ye Card Un Logo Ka Banta Hai Jo Garebi Rekha Se Niche Jivan Yapan Karte Hai.Iske Bad Aata Hai Namber APL  Card Ka,Ye Card Un Logo Ka Banta Hai Jo Log Garebi Rekha Ke Uper Jivan Yapan Karte Hai .Iske Bad Aata Hai AAY Card Ye Card Un Logo Ka Banta Hai Jo Samaj Ke Sabse Gareb Vargo Se Aate Hai .

Ration Card Banwane Ke Liye Aavshyak Dastavez

Id Prof

1-Matdata Pahchan Patr Ki Photo Copy
2-Aadhar  Card Ki Photo Copy
3-Pasport Ki Photo Copy
4-Pan Card Ki Photo Copy
5-Janam Praman Patr Ki Photo Copy

Address Prof

1-Aadhar Card Ki Photo Copy
2-Pasport Ki Photo Copy
3-Jevan Bema Ki Photo Copy
4-Bijli Ka Bill Ki Photo Copy(Hal Hi Me Jari Hua Ho)
5-Telephone  Ka Bill Ki Photo Copy(Hal Hi Me Jari Hua Ho)

Age Certificate

1-Aadhar Card Ki Photo Copy
2-Pan Card Ki Photo Copy
3-Dasvi Ki Marsheet  Ki Photo Copy
4-Janam Paraman Patr

Passport  Size Photo

1-Mukhiya Ke  3 Passport Size Photo

ye bhi parhe-delhi me ration card kaise banvay

Offline Ration Card Apply Kaise Kare

Iske Liye Aap Ko Nazdeek Ke Ration Card Karyalay par  Jana Pare Ga .

Vaha Ja Kar Aap Naya Ration Card Banvane Ke Liye Aavedan Form Mangna Pare Ga .
Aavedan Form Me Sabhi Jankariya Sahi –Sahi Bhar Digiye .

Aor  Aavedan  Ke Sath Sabhi Zaruri  Praman Patr Salaghn Kar Digiye .

Aor Sabhi  Ko Ration Card Adhikari Ke Pas Jama Kar De .Aap ko kuch Shulk bhi dena Pare Ga .

 2 Se 4 Week Me Aap Ka Ration Card Aap Ko Mil Jay Ga .Aap Online Check Bhi Kar Sakte Hai 

ye bhi parhe-Online ration card list check 2020

Online Ration Card Apply Kaise Kare

Online Ration Card Ko Apply Karne Ke Liye Aap Ko Apne Pradesh Ki Ration Card Ki Website Par Jana Pare Ga.

Aor Vaha Se Aavedan Form Download Karna Hoga.

 Aavedan  Form Me Sabhi Jankariya Sahi – Sahi Bhar De.Aor Sabhi Zaruri Dastavezo Ko Attach Kar De .

Jo Shulk Aap Se Manga Jay Voh Payment Kar De .

Sara Kam Karne  Ke Bad Sabmet Par Click Kar De .

Aap Ke Aavedan Ki Janch Hogi .Aor Janch Ke Bad Aap Ka Ration Card Aap Ko Prapt Ho Jay Ga .


Agar Aap Koi Jankari Chahte Hai To Hame Comment Box Me Comment Kare.Mai Aapki Samsya Ko Hal Karne  Ki Puri  Koshish Karuga Aap Ka Bahut Bahut Dhanyavad